Jo dil pe nasha hai.. Woh pehli dafa hai.. Kabhi dard si Kabhi zard si Zindagi benaam thi Kahi chaahtein hui meherbaan Hath badke thaamti Ek woh nazar Ek woh nigah Rooh mein shamil iss tarah Ban gaya afsaana ek baat se pehli dafa Paa liya hai thikaana baahon ki hai panaah Suna hai suna hai.. Yeh rasmein wafa hai..
Jo dil pe nasha hai.. Woh pehli dafa hai.. Lage bewajah alfas jo Woh zarurat ho gaye Taqdeer ke kuch faisley Jo ganimat ho gaye Badla hua har pal hai Rehti khumari har jagah Pyaar tha anjaana Hua saath mein pehli dafa Yeh asar ab jaana Kya rang hai yeh chadha Suna hai suna hai Yeh rasmein wafa hai Jo dil pe nasha hai Woh pehli dafa hai.

No comments:
Post a Comment